Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani

Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Read More...

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Sab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon

Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon

Read More...

Dar pe bulawo makki madni

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni,

Deed teri hai, eid meri
Deed karawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Mehshar me ho lab pe mere
“‘Mujh ko bachawo makki madni”
Dar pe bulawo makki madni

Apne nawason ke sadqe
Dukhre mitawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh
Mujh ko sulawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Mangta hu(n) me sawaali hoon,
Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n),
Thokaren khaata hu(n) dar dar ki,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Har saas me Madinah he,
muskhkil ab mera jeena he,
Dil mein tamanna hai Tayba ki,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Barso(n) say akhiya tarsi,
Jalwa dikhawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni

Asdi gunaho me dooba huwa he
Jaisa he nibhawo makki madni,

Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni

Dar pe bulawo makki madni

Read More...

Aa hī jaatā vo raah par

Aa hī jaatā vo raah par ‘ġhālib’
koī din aur bhī jiye hote

aae hai bekasī-e-ishq pe ronā ‘ġhālib’
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere baad

āīna dekh apnā sā muñh le ke rah ga.e
sāhab ko dil na dene pe kitnā ġhurūr thā

Read More...

Aa ki Mirī jaan ko Qarār Nahīñ hai

Aa ki mirī jaan ko qarār nahīñ hai

tāqat-e-bedād-e-intizār nahīñ hai

dete haiñ jannat hayāt-e-dahr ke badle

nashsha ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ hai

girya nikāle hai terī bazm se mujh ko

haa.e ki rone pe iḳhtiyār nahīñ hai

ham se abas hai gumān-e-ranjish-e-ḳhātir

ḳhaak meñ ushshāq kī ġhubār nahīñ hai

dil se uThā lutf-e-jalva-hā-e-ma.ānī

ġhair-e-gul ā.īna-e-bahār nahīñ hai

qatl kā mere kiyā hai ahd to baare

vaa.e agar ahd ustuvār nahīñ hai

tū ne qasam mai-kashī kī khaa.ī hai ‘ġhālib’

terī qasam kā kuchh e’tibār nahīñ hai

Read More...

Aina kyu Na do

आईना क्यूँ न दूँ कि तमाशा कहें जिसे

ऐसा कहाँ से लाऊँ कि तुझ सा कहें जिसे

हसरत ने ला रखा तिरी बज़्म-ए-ख़याल में

गुल-दस्ता-ए-निगाह सुवैदा कहें जिसे

फूँका है किस ने गोश-ए-मोहब्बत में ऐ ख़ुदा

अफ़्सून-ए-इंतिज़ार तमन्ना कहें जिसे

सर पर हुजूम-ए-दर्द-ए-ग़रीबी से डालिए

वो एक मुश्त-ए-ख़ाक कि सहरा कहें जिसे

है चश्म-ए-तर में हसरत-ए-दीदार से निहाँ

शौक़-ए-इनाँ गुसेख़्ता दरिया कहें जिसे

दरकार है शगुफ़्तन-ए-गुल-हा-ए-ऐश को

सुब्ह-ए-बहार पुम्बा-ए-मीना कहें जिसे

‘ग़ालिब’ बुरा न मान जो वाइज़ बुरा कहे

ऐसा भी कोई है कि सब अच्छा कहें जिसे

या रब हमें तो ख़्वाब में भी मत दिखाइयो

ये महशर-ए-ख़याल कि दुनिया कहें जिसे

Read More...

Chand Taray Hi Kya

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay
Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Ham daray Mustafa dekhtay reh ga-ay,
Noor hi noor tha, dekhtay reh ga-ay.

Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa,
Soorat-e-Mustafa dekhtay reh ga-ay

Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa,
Muqtadi muqtadaa dekhtay reh ga-ay.

Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam,
Log acha buraa dekhtay reh ga-ay

Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa,
Hum to unki adaa dekhtay reh ga-ay

Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum,
Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay reh ga-aye

Baar baar tauba ki aur phir torr di
Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe

Ya Rasul Llah ya Habiba Llah
Mere sar ko Haram ki fiza chahiye

Ya Rasool Llah ya Habiba Llah
Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye

Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye
Mil gaye Mustafa aur kya chahiye

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,
Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah

Read More...

Aa jaaye bulawa mujhe Aaqa Tere Dar se

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse

Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se

Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse

Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se

Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
Har ek musalmaan Tere deed ko tarse

Naamoos-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke liye jaan bhi doon ga
Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se

Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se

Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se

Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

Read More...

Haal Aapne Dil ka

हाल अपने दिल का,
मैं तुम्हें सुना नहीं पाती हूँ..
जो सोचती रहती हूँ हरपल,
होंठो तक ला नहीं पाती हूँ..
बेशक बहुत मोहब्बत है,
तुम्हारे लिए मेरे इस दिल में..
पर पता नहीं क्यों तुमको,
फिर भी मैं बता नहीं पाती हूँ..

Read More...