Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaey

Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaey
Isi ke Sadqay mein Kaamil mera Iman ho jaey

Mere Mushkil kusha Hasanain ka Sadqa Ata kar de
Balaen door hon Mushkil Meri Aasan ho jaey

Mere Aamal ka badla tabahi hay magar piyaray
Mein Jannat ko sidharon jo tera farmaan ho jaey

Madinay Paak ke kutton ki khidmat ka sharaf paaon
Sagaan-e-Taybah ka Khadim, meri pehchan ho jaey

Mein jaun daar-e-faani se mera Emaan Salamat ho
Teri chahat teri Ulfat mera Saman ho jaey

Mere Shafay’ sawali hun Nijaat-e-Aakhirat ka mein
Sar-e-Mehshar Shafa’at ka teri Aey’laan ho jaey

Mein hun Sunni, rahun sunni, jeeun sunni, marun sunni
Karam Aey Sayyid-e-Aalam tera Ihsaan ho jaey

Teri Naatien parrhun teri Sana mein Mast ho jaon
Paey Akhtar Nigaah-e-Hazrat-e-Hassan ho jaey

Teri Madh-o-Sana sunn kar sarray munkir karay maatam
Magar jab bhi koi Sunni sunay Farhaan ho jaey

Khurooj-o-Rafz ke Shar se mera aur meri Naslon ka
Salamat deen-o-Iman Aey Mere Sultan ho jaey

Mein Baghdad-e-Mu’alla aanay ko tayyar hun kab se
Izn bas Haazri ka az Shah e Jeelan ho jaey

Bareilly Hziri dun phr Chaloon Ajmer ko Khwajah
Raza ke Faiz se mujh par tera faizan ho jaey

Mere Ghous o Raza ka, mere Khwaja, mere Daata ka
Mere Murshid ka Mujh pe Daaimi Faizan ho jaey

Meri Naslain chalain Raah e Sunan par taa Dam e Aakhir
Meri Aulaad Aaqa Aalim-e-Quran ho jaey

Karam karna karam walay bharam rakhna bharam walay
Teri Namoos pe Qurban yeh Irfan ho jaey