Har gosha-e-nazar meñ samāe hue ho tum

har gosha-e-nazar meñ samāe hue ho tum
jaise ki mire sāmne aae hue ho tum

merī nigāh-e-shauq pe chhāe hue ho tum
jalvoñ ko ḳhud hijāb banāe hue ho tum

kyuuñ ik taraf nigāh jamāe hue ho tum
kyā raaz hai jo mujh se chhupāe hue ho tum

dil ne tumhāre husn ko baḳhshī haiñ rifateñ
dil ko magar nazar se girāe hue ho tum

ye jo niyāz-e-ishq kā ehsās hai tumheñ
shāyad kisī ke naaz uThāe hue ho tum

yā mehrbāniyoñ ke hī qābil nahīñ huuñ maiñ
yā vāqaī kisī ke sikhā.e hue ho tum

ab imtiyāz-e-parda-o-jalva nahīñ mujhe
chehre se kyuuñ naqāb uThāe hue ho tum

uf re sitam ‘shakīl’ ye hālat to ho gaī
ab bhī karam kī aas lagāe hue ho tum