Dalile Kibriya Bankar Mohammad Mustafa Aye

Dalile Kibriya Bankar Mohammad Mustafa Aye
Shafiye Do – Saara Bankar Mohammad Mustafa Aye

Nigare Ambiya Aye Habibe Kibriya Aye
Rissalat Ki Ziya Bankar Mohammad Mustafa Aye

Baharo Par Bahare Aagayi Sahne Gulista Me
Bahare Jaa-Fizza Bankar Mohammad Mustafa Aye

Na Ghab Ra-o Gunehgaro Milega Chain Bimaro
Ghame Dil Ki Dawa Bankar Mohammad Mustafa Aye

Jaaha Ki Ibteda Aye Jaaha Ki Inteha Aye
Dilo ki Roshni Bankar Mohammad Mustafa Aye

Hai Rahmat Har Taraf Chayi Gunehgaro Ki Ban Ayi
Hamara asra Bankar Mohammad Mustafa Aye

Habibe Kibriya ki Baat Ho Syed ” Aur Teri Juban

Karam ki inteha Bankar Mohammad Mustafa Aye

by – Dil Fidaye Sarkare Ghouse Azam .
Sayyed Mohsin Pasha Qadri Barkati Al-jillani). Davanagere Karnataka