Baba Freed Ka Murid

Ek Martaba Hasan Qawwal Jo Baba Fareed Ka Qawwal Tha Usne Baba Fareed Se Kaha Ki Huzoor Aapke Khalifaon Ko Dekhne Ka Jee Chahata Hai Aur Baba Fareed Se Ijazat Lekar Delhi Pohcha Toh Yaha Hazrat Khwaja Nizamuddin RadiAllahu Anhu Se Mulaqat Huyi, Hazrat Mehboob-e-Ilahi Ne Is Qawwal Ki Bohot Khatir Ki Aur Chalte Samey Bohot Zayada Inaam Diye Iske Baad Hasan Qawwal Ne Kaliyar Ki Raah Li Aur Sochte Huye Jaa Rahe Thae Ki Jab Yaha Se Itna Maal Mila Toh Waha Kitna Milega Kyonki Sabir Paak Toh Damad Hein Aur Bhanje Bhi Hein Aur Khalifae Aazam Bhi Hein Jab Hasan Qawwal Kaliyar Shareef Pohche Toh Dekha Ki Chaaron Taraf Veerani He Veerani Hai, Ek Gular Ka Pedh Khada Hua Hai Aur Sabir-e-Paak Gular Ki Tehni Pakde Khade Hein Aap Khuda Ki Ibadat Mein Mashgool Hein, Hazrat Shamsuddin Ne Kaha Huzoor Paak Pattan Se Hasan Qawwal Aaya Hai, Sabir-e-Paak Ne Apni Aankhen Kholkar Farmaya Kon Hasan Qawwal ? Hasan Qawwal Ne Kaha Baba Fareed Ka Qawwal Sabire Paak Ne Farmaya Kon Fareed ? Hasan Ne Kaha Aapke Peero Murshid Is Par Sabire Paak Ne Farmaya Ki Kya Hamare Peero Murshid Acche Hein ? Ye Keh Kar Sabir-e-Paak Ko Fir Istagraak Ho Gaya, Hazrat Shamsuddin Ne Hasan Qawwal Ki Khatir Ki Yaani Gulron Mein Namak Daal Kar Khilaye Jab Hasan Qawwal Pareshan Ho Gaya Aur Sochne Laga ki Yaha Se Jaun Toh Kaise ? Sabir-e-Paak Toh Istagraak Ki Halat Mein Hein Bina Ijazat Jaun Toh Musibat Na Jaun Toh Musibat Aakhir Kaar Teen Din Baad Kuch Hosh Aaya Hazrat Shamsuddin Ne Kaha Huzoor Hasan Qawwal Jaa Raha Hai Toh Sabir-e-Paak Ne 3 Gulriyan Uthayi Aur Hasan Qawwal Ko Di, Aur Kaha Ki Jao Khuda Hafiz!

Hasan Qawwal Kaliyar Se Paak Pattan Ki Taraf Chal Diya Hasan Qawwal Ko Ye Sab Na Gawar Sa Laga Gulriyan Hifazat Se Rakh Li Ki Ye Sab Baba Fareed Ko Dekhaunga Ki Tumhare Ladle Bhanje Ne Ye Diye Hein Jab Hasan Qawwal Paak Pattan Pohcha Toh Baba Fareed Se Raaste Ki Puri Baat Batayi Mehboob-e-Ilahi Ki Bohot Tareef Kiya Ki Unhone Bohot Acche Acche Khane Khilwae Aur Nazrane Bhi Bohot Dilwae Baba Fareed Ne Farmaya Mere Sabir Ke Pas Bhi Gae Thae Ya Nahi ? Hasan Qawwal Ne Kaha Woh Toh Bade Ghamandi Hein Bole Tak Nahi Baba Fareed Ne Farmaya Sabir Ne Hamare Liye Bhi Kuch Kaha ? Hasan Qawwal Ne Kaha Unhone Aapko Pehchana Tak Nahi, Maine Kaha Ki Mein Baba Fareed Ka Qawwal Hu Toh Kehte Hein Kon Baba Fareed? Jab Maine Kaha Ki Tumhare Murshid Baba Fareed Is Par Kaha Ki Accha Kya Hamare Peero Baba Fareed Acche Hein ? Baba Fareed Ko Ye Baat Sunte He Wajd Ho Gaya Aur Farmaya Mein Aaj Se Sabir Ka Peero Murshid Ho Gaya Hu, Majmae Aam Mein Logon Ne Kaha Ki Kya Aap Isse Pehle Sabir-e-Paak Ke Murshid Nahi Thae? Is Par Baba Fareed Ne Kaha Mein Unka Peer Tha Lekin Ye Jumla Us Samey Sabir Ne Nahi Kaha Tha Balki Ye Sab Alfaaz Kisi Aur Zaat He Ke Thae Hasan Qawwal Ne Baba Fareed Ko Weh Ye Teen Gulriyan Dikhayi Jo Chalte Samey Sabir-e-Paak Ne Hasan Qawwal Ko Diye Thae Baba Fareed Ne Ek Gular Khud Khaya Baaki Do Gular Ke Tukde Karke Logon Mein Bat Diye Jisne Bhi Weh Gular Ke Tukde Khaye Sabhi Ko Qaramati Ahsaas Hua Baba Fareed Ne In Gularon Ke Badle Mein Hasan Qawwal Ko Bohot Sa Dhan Diya Aur Kaha Ki Agar Tu Gular Kha Leta Toh Pata Nahi Kya Se Kya Ho Jata, Hazrat Nizamuddin Auliya Ne Duniyawi Dolat Di Thi Aur Sabir-e-Paak Ne Tumhe Deeni Dolat Di Thi, Ye Tumhara Naseeb Hai Ki Tum Mehrum Rahe.

Reference-[Shan-e-Makhdoom, Pg No- 31]